Kya Manifestation Sach mein Kaam karta hai? - Life Hacks

Kya Manifestation Sach mein Kaam karta hai?


Aapne na jane kitni baar kisi na kisi se yeh suna hoga:
“Bas visualize karo, socho, aur universe tumhe de dega.”

Aisa aap ke sath kitni baar hua hai ki jab bhi aap kisi ko "Manifestation" ki baat karte sunte ho or vo apne life experience share karte hai, ya aap koi movie dekhte ho "Law of Attraction" pe, jaise ki "The Secret", ya koi book padhte ho, koi quote padhte ho issi topic pe toh, tab aisa lgta hai ki yar yeh sab toh kitna aasan hai, uss waqt toh aisa lagane lagta hai jaise ki kya jaadu ki chhadi hath lag gayi hai, ab dekhna main kya kya manifest karke dikhati/ dikhata hu.
Ekdam se confidence kitna upper chala jata hai, haina? Itni positivity bhar jaati hai puri body ke ander, dil dimak sab kuch ekdam halka feel hone lagta hai or sab kuch easy lagne lagta hai. 


Phir Kya Hota Hai?

Fir..., Fir hum apna patience dheere dheere khone lagte hai, sochne lagte hai  ki yar "Main itna toh acha acha soch raha hoon phir bhi kuch badal kyu nahi raha, fir lagta hai ki yar yeh toh bekar chiz hai, jo log bolte hai ki "Law of Attraction" kaam karta hai vo ya toh pagal hai ya hume pagal bana rahe hai. yeh soch ke hum fir apni purani zindagi me vapis aa jate hai, Vapis se vahi sab same thoughts suru ho jate hai or humare liye fir "Law of Attraction", ek bekar si cheez ban jata hai. Wahi purane thoughts. Wahi negativity. Wahi blame game — “meri kismat hi kharab hai.” Fir agar kabhi kisi bohat successful insan se "Law of Attraction" ke baare mein vapis sun lete hai toh hum sochne lagte hai ki yeh sabke liye kaam krta hai mere liye toh isne kaam kiya hi nhi, meri toh kismat hi khrab hai. In sari thoughts se hum apni life me actually "Law of attraction" ko istemal toh kar rhe hai par, hum galat direction mein istemal kar rhe hai.




Asal mein kya farak hai un logo me jinke liye "law of attraction" kaam krta hai, jo log itne bhagyashali hote hai unka har kaam itna acha hota hai, aise log jo bhi kaam krte hai usme unhe jyda safalta milti hai jabki vo uske liye itni mehnat bhi nahi karte, balki kuch log jo itni mehnat karte hai fir bhi unke kaam nhi bante, fir aaplog hatash hoke apni kismat ko kosna suru kar dete hai jisse apka kaam or bigadne lagte hai kyuki unhe nhi pta law of attraction humesha kaam krta hai jaha bhi vishwas pura hota hai agar aap sochoge ki meri kismat kitni khrab hai mujhe toh itni mehnat ke baad bhi safalta nhi milti, or baaki sabko bina mehnat or kam mehnat ke baad bhi itni jyda safalta mil jati hai, toh in sabdo me, is soch me aapka vishwas ekdam atut hota hai isme thoda sa bhi shak nhi hota jiski wajah se law of attraction yaha bohat tezi se kaam karta hai. 


Toh chalo aaj hum samjhate hai ki akhir problem kha hai, agar aap bhi soch soch ke thak gaye hai ki law of attraction, mere liye kaam kyu nhi kar rha, par chahte hai ki "Manifestation, Law of Attraction", apke liye bhi kaam kre or vo bhi positive tareeke se kaam kre toh uske liye hume kya chahiye:


Vishwas : 


Sabse jyda jaruri cheez hai "Vishwas", nahi sirf vishwas bhi nahi, balki, "Ek Atut Vishwas", jo kaisi bhi paristhithi mein bhi kam na ho, apka vishwas hilna nhi chahiye. Isse kehte hai atut vishwas jo kisi bhi halato me, kisi bhi situation me kam na ho. Ussi tarah jaise jab aap apni kismat ko sochte hue ek baar bhi shak nhi karte, jab vishwas pura hota hai ki dekho yahi toh ho raha hai. 

Lekin apko apna vishwas apne ache ke liye istemal karna hai, apko us waqt ek baar bhi shak nhi lana hai jab aap apne baare me acha soch rhe ho, tab aap kisi proof ka, sabut ka intezar nahi kar rhe hote, kyuki apka vishwas toh 100% atut hai, apko kisi proof ki jarurat nahi hoti. 

Bas ek andar se awaaz: "Mujhe pata hai, yeh hone wala hai."




Jab vo vishwas ki takat aap apna acha sochne me lgayenge tab hoga Jaduu apke jivan me, or apko lagega ki law of attraction sach me kaam karta hai.

Vishwas ki takat bohat badi hoti hai, itni badi ki iska koi mukabala nahi hai is puri duniya me, Vishwas ki takat se logo ne vo karke dikhaya hai jo is duniya me sambhav hi nahi tha. 


Jab apke ander ek pur vishwas hoga ki mujhe yeh cheez (jo bhi cheez apko chahiye vo mil chuki hai) tab aap aise hi act kroge ki jaise yeh to mil gaya hai, fir aap na uske baare me doubt laoge na aap sakh kroge na apko intezar hoga ki kab hoga kab hoga, tab aap ekdam ready hote hai. Bas yahi karna hai apko.

Soch ke Dekho...

  • Tum apne dream job ke liye mehnat kar rahe ho, par tumhara ander abhi bhi “I’m not enough” hai. Confidence nahi hai, toh energy low hogi.

  • Par agar tum socho, tum act karna shuru karo ki tumko vo job already mil gayi hai fir tumhara chaal, tumhari awaaz, tumhara daily routine — sab change ho jaayega. Tumhara dil, dimak bhi kehne lagega:

    "Shayad yeh sach hai... chal. Fir, universe bhi adjust ho jaayega!"

    Bas yahi hai Jaadu, yahi hai law of attraction. 

Toh aaj se aapko yahi karna hai jab bhi vishwas hile ya kam ho jaye vapis aake ye article padh lena or haan apni success story, share karna mat bhulna.

Agar apko isse thoda bhi fayda hua ho toh share jarur kare and hume comments mein jarur bataye!





Previous article
This Is The Newest Post
Next article

Leave Comments

Post a Comment

if you have any doubts, Please let me know

Articles Ads

Articles Ads 1

Articles Ads 2

Advertisement Ads